Showing posts with label Shiv. Show all posts

Saturday, October 29, 2011
Tuesday, October 25, 2011
Shiv ji ka Swaroop
संसार में जो कुछ भी एश्वर्य, माधुर्य, सौंदर्य, शक्ति, श्री,शौर्य,सुख, तेज, सम्पति, स्नेह, प्रेम, अनुराग, भक्ति, ज्ञान, विज्ञानं, रस, तत्त्व,गुण, महात्म्य आदि दीखते हैं , सब वहीँ से आता है, जहाँ इनका अटूट भंडार है. अनादि काल से अब तक इस भंडार में से लगातार इन सारी चीज़ों का वितरण हो रहा है और अनादि काल तक होता रहेगा. परन्तु फिर भी उस भंडार का एक तिल भी कम नहीं होता. वो सदा पूर्ण, अनंत और असीम ही रहेगा. जानते हो वो भंडार कहाँ है और उसका स्वरुप क्या है?
वो भंडार है : भगवान - मेरे शिव शंकर और वो सभी जगह हैं. तुम जो उनका चिंतन छोड़ कर विषय चिन्तन करते हो , एक मात्र उन्हें ही पाने की कामना न रख कर विषयों की कामना करते हो, उन्ही के बल पर सदा निर्भर न रह कर जगत के जड़ बल का आश्रय ग्रहण करना चाहते हो, उनके कृपा कण से ही अपने को परम धनी न मान कर दुनिया की दिखावटी और प्रति क्षण नष्ट होती हुई धन सम्पदा का मोह करते हो. उनके दासत्व और प्रेम की अनंत कीर्ति का तिरस्कार करके दीवानी दुनिया में नाम कमाना चाहते हो और उनके नित्य सान्निध्य में रहने पर भी अपने को असहाय समझते हो? इस से येही सिद्ध होता है की तुमने अब तक मेरे शिव शंकर के महत्व और प्रभाव की ओर बहुत ही कम ध्यान दिया है.
मेरे शिव शंकर सच्चिदानंदघन, परम पवित्र और ईश्वरों के भी इश्वर हैं - परम प्रभु हैं, सब में, सब जगह, सर्वदा और सर्वथा व्याप्त हैं. वे तुम्हारे अपने हैं, तुम उनके परम आत्मीय हो, वे नित्य तुम्हारे साथ सोते जागते, उठते बैठते, खाते पीते - सदा ही रहते हैं, एक क्षण के लिए भी तुमसे अलग नहीं होते हैं.
मेरे शिव शंकर को जानो, देखो और पहचानो. तुम्हारे आभाव मिट जायेंगे, तुम्हारे सब दुखों का सदा के लिए नाश हो जायेगा, तुम्हे परम शांति मिल जाएगी. फिर जगत की कोई भी स्तिथि - मृत्यु भी तुम्हे डरा नहीं सकेगी. तुम नित्य बिना दर के और सर्वथा आनंद से परिपूर्ण हो जाओगे
मेरे शिव शंकर को जानने, देखने और पहचानने का सब से पहला साधन है श्रद्धा. जिन अनुभवी महात्माओं और शास्त्रों ने भगवन को जानने, देखने और पहचानने के जो साधन बतलाये हैं, उन पर श्रद्धा करो. ज्यूँ ज्यूँ तुम्हारी श्रद्धा बढ़ेगी , त्यूं ही त्यूं तुम्हे भगवान का प्रकाश समीप आता हुआ दिखाई देगा. तुम अपने अन्दर एक प्रकार के आनंद और शांति का अनुभव करोगे. जैसे जैसे भगवान के प्यार में तुम्हारा मन अधिकाधिक लगता जायेगा और ज्यूँ ज्यूँ प्यार बढेगा त्यूं त्यूं तुम भगवान को कुछ कुछ जानने, देखने और पहचानने लगोगे.
मन तभी तक भगवान में नहीं लगता जब तक की उसे आनंद नहीं आता. जिस दिन थोडा भी आनंद आ जायेगा उस दिन से तो फिर ये वहां से हटाये भी हटना नहीं चाहेगा. क्यूँ भगवद प्यार के आनंद का एक कण की भी जगत के बड़े से बड़े आनंद की तुलना नहीं हो सकती. वह आनंद अत्यंत विलक्षण होता है. मेरे शिव शंकर के प्यार में खोते जाओ और अपने जीवन को आनंद और प्रीति से परिपूर्ण कर लो.
Sansar mein jo kuch bhi aishwarya, madhurya, saudarya, shakti, shree, shaurya, sukh, tej, sampati, sneh, prem, anurag, bhakti, gyan, vigyan, ras, tatva, gun, mahatmay adi dikhte hain, sab wahin se aata hai, jahan inka atoot bhandar hai. Anadikaal se ab tak is bhandar mein se lagataar in saari vastuon ka vitaran ho raha hai and anadi kaal tak hota rahega, parantu phir bhi us bhandaar ka ek til bhi sthan khali nahin hota. Wah sada purna, anant aur asim hi rahega. Jaante ho woh bhandar kahan hai aur uska swaroop kya hai?
wah bhandar hain : bhagwan - mere Shiv Shankar aur we sabhi jagah hain. tum jo unka chintan chhod kar vishay chintan karte ho, ek matra unhe he paane ki kaamna na rakh kar vishayon ki kaamna karte ho, unhi ke bal par sada nirbhar na reh kar jagat ke jad bal ka ashray grahan karna chahte ho, unke kripa kan se hi apne ko param dhani a maan kar duniya ki dikhawati aur prati kshan nashta hoti hui dhan sampada ka moh karte ho. unke dasatva aur prem ki anant kirti ka tiraskar karke diwani duniya mein naam kamana chahte ho aur unke nitya-sannidhya mein rehne par bhi apne ko asahay samajhte ho? Is se yehi siddha hota hai ki tumne ab tak mere shiv shankar ke matva aur prabhav ki ore bahut hi kam dhyan diya hai.
Mere Shiv Shankar sacchidanandghan, param pavitra aur ishwaron ke bhi ishwar hain - param prabhu hain; sab mein, sab jagah, sarvada aur sarvatha vyapt hain, ve tumhare apne hain, tum unke param atmiya ho, ve nitya tumahre saath sote-jaagte, uthte baithte, khate peete- sada ho rehte hain, ek kshan ke liye bhi tumse alag nahin hote hain.
Mere Shiv Shankar ko jaano, dekho aur pehchano. tumhare abhav mit jayenge, tumhare sab dukho ka sada ke liye naash ho jayega. tumhe param shanti mil jayegi. phir jagat ki koi bhi sthiti - mrityu bhi tumhe dara nahin sakegi. tum nitya bina dar ke aur aur sarvatha anand se paripoorna ho jaoge.
Mere Shiv Shankar ko jan ne, dekhne aur pehchan ne ka sab se pehla sadhan hjai shhraddha. Jin anubhavi mahatmaon and shashtron ne bhagwan ko janne, dekhne aur pehchanne ke jo sadhan batlaye hain, un par shhraddha karo. jyun jyun tumhari shhraddha badhegi, tyun hi tyun tumhe bhagwan ka prakash samip aata hua dikhai dega. tum apne andar ek prakar ke anand aur shanti ka anubhav karoge, jis se bhagwan ke pyar mein tumhara man adhika dhik lagta jayega aur jo jo pyar bhadega tyun tyun tum bhagwan ko kuch kuch janne, dekhne aur pehchanne lagoge.
Man tabhi tak bhagwan mein nahin lagta jab tak ki use anand nahin aata. jis din thoda bhi anand aa jayega, us din se to phir ye wahan se hataye bhi hatna nahin chahega; kyun bhagwad pyar ke anand ka ek kan ki bhi jagat ke bade se bade anand ki tulna nahin ho sakti. wah anand atyant vilakshan hota hai. Mere Shiv Shankar ke pyar mein khote jao aur apne jeevan ko anand aur priti se paripurna karlo.

Labels:
Lord Shiva,
Shankar,
Shiv,
Shiv ji ka swaroop
Tuesday, July 19, 2011
RUDRASHTAKAM
Namaamii shamishaana-nirvaana rupam
vibhum vyaapakam brahma-veda-svaroopam
nijam nirgunam nirvikalpam niriham
chidaakaasha maakaasha-vaasam bhaje ham
I bow to the Ruler of the Universe, whose very form is Liberation,
the omnipotent and all pervading Brahman, manifest as the Vedas.
I worship Shiva, shining in his own glory, without physical qualities,
Undifferentiated, desireless, all pervading sky of consciousness
and wearing the sky itself as His garment.
niraakaara monkaara-moolam turiiyam
giraa gyaana gotiita miisham giriisham
karaalam mahaa-kaala-kaalam kripaalam
gunaagaara samsara paaram nato ham
I bow to the supreme Lord who is the formless source of “OM”
The Self of All, transcending all conditions and states,
Beyond speech, understanding and sense perception,
Awe-full, but gracious, the ruler of Kailash,
Devourer of Death, the immortal abode of all virtues.
tushaa raadri-sankaasha-gauram gambhiram
manobhuta-koti prabha shri shariram
sphuran mauli-kallolini-charu-ganga
lasad-bhaala-balendu kanthe bhujangaa
I worship Shankara, whose form is white as the Himalyan snow,
Radiant with the beauty of countless Cupids,
Whose head sparkles with the Ganga
With crescent moon adorning his brow and snakes coiling his neck,
chalatkundalam bhru sunetram vishalam
prasannaa-nanam nila-kantham dayaalam
mrigadhisha charmaambaram mundamaalam
priyam shankaram sarvanaatham bhajaami
The beloved Lord of All,
with shimmering pendants hanging from his ears,
Beautiful eyebrows and large eyes,
Full of Mercy with a cheerful countenance and a blue speck on his throat.
prachandam prakrishtam pragalbham paresham
akhandam ajam bhaanukoti-prakaasham
trayah-shula-nirmulanam shula-paanim
bhaje ham bhavaani-patim bhaava-gamyam
I worship Shankara, Bhavani’s husband,
The fierce, exalted, luminous supreme Lord.
Indivisible, unborn and radiant with the glory of a million suns;
Who, holding a trident, tears out the root of the three-fold suffering,
And who is reached only through Love.
kalaatita-kalyaana-kalpanta-kaari
sadaa sajjanaa-nanda-daataa purarih
chidaananda-sandoha-mohaapahaari
prasida prasida prabho manmathaarih
You who are without parts, ever blessed,
The cause of universal destruction at the end of each round of creation,
A source of perpetual delight to the pure of heart,
Slayer of the demon, Tripura, consciousness and bliss personified,
Dispeller of delusion…
Have mercy on me, foe of Lust.
na yaavad umaanaatha-paadaaravindam
bhajamtiha loke parevaa naraanam
na taavat-sukham shaanti-santaapa-naasham
prasida prabho sarva bhutaa-dhivaasam
Oh Lord of Uma, so long as you are not worshipped
There is no happiness, peace or freedom from suffering
in this world or the next.
You who dwell in the hearts of all living beings,
and in whom all beings have their existence,
Have mercy on me, Lord.
na janaami yogam japam naiva pujam
nato ham sadaa sarvadaa sambhu tubhyam
jaraa janma-dukhaugha taatapya maanam
prabho paahi apan-namaamisha shambho
I don’t know yoga, prayer or rituals,
But everywhere and at every moment, I bow to you, Shambhu!
Protect me my Lord, miserable and afflicted as I am
with the sufferings of birth, old-age and death.
rudrastaka midam proktam viprena haratoshaye
ye pathanti naraa bhaktyaa teshaam sambhuh prasidati
This eightfold hymn of praise was sung by the Brahman to please Shankara.
Shambhu will be pleased with whomever heartfully recites it.
Iti Shri Goswami Tulsi Das krita Shri Rudrashtakam sampoornam
karpoora gauram karunaavataaram samsaara saaram bhujagendra haaram
He is white like camphor and the very incarnation of mercy and compassion,
The only good thing in this world, wearing a king cobra as a garland
sadaavasantam hridayaara vinde bhavam bhavaani sahitam namaami
It is always springtime in the lotus of His heart I bow down to Bhava (Shiva), as well as to Bhavani (Parvati) who accompanies Him
shiv puran, gyan samhita 68/18
Karpoor ke samaan gaurav varn wale, karuna ke avtaar, vishwa ke mool karan, gale mein naag raaj ka haar dharan karne wale tatha hriday kamal mein sada viraajmaan rehnewale bhagwan shiv ko bhawani sahit main pranam karta hoon.
Shambho Sadaa Shiva!
Subscribe to:
Posts (Atom)